S

RIP SUSHANT SINGH RAJPUT

Khule aasmano me wo hasta tha, shayad andar hi andar dard sehta tha
Thi hotho pr muskrahat par shayad ukhra ukhra rehta tha
Ek khwab usne dekha ar wo mukam v muqammal paaya
Lekin shayad khandani taarikh umda na thi , aage nakam hota nazar aaya
Apni wajood talashne ko usne tamam koshishe ki, par waha ki fizao me shayad kafi andhera tha
Usne mehnat v beinteha ki, par waha dhanda chalsaz huqmrani ka shayad kafi gehra tha
Tha yun tanha , bechain , har waqya wo sabr krta rha
Har nazar me usne mayusi dekhi , Har saans me kabr padhta rha
Hammulazimo me mohabbat ki talash kr wo deewana khud khi kho gya
Logo ko zindagi ki naseehate dekr wo khud fanaa ho gya..
Us raaz me aawaz hai...
(KHANDANI TAARIKH - FAMILY BACKGROUND
HAMMULAZIM - WORKMATE
#boycottnepotism )
©shadanzeya