S

sawalaat

Gar iradaye Adal hai to tum kadam uthana
Bik gaye ho to suno na koi kalam uthana
Bewajah taaqat ka muzahaira kyun?kab tak?
Kamzori chipane ke liye na sitam uthana
Kuch khataye aaisi hai jinko karne ke baad
Unke nataiej ae dost sare janam uthana
Apni bahe na daal abhi ki jung ladni hai
Ha gar gir jao to mujhe mere samane uthana
Wajahaat kya, is doore hayaate tangdasti ke
Yeh sawalat kisi aur lamha tum uthana
Sab apne bando bastiye zindagi mein mashgool hai shahid
Tum kahi na, duniya ko bachane ki kasam uthana
©shahidkhan