Ye aisa kaam hai jo muhaal aata hai 🥺
Har uruuj ka zavaal aata hai
Aj apna khayaal aata hai
Ham bhi rakhte thay kabhi
Jo tumhe kamaal aata hai
Aazaadi on mai sab panap.te hai
Qaabil-e-tasliim vo hai jab jaal aata hai
Adhuura rehne ka shauq rakhna
Muqammal hone par bavaal aata hai
Mai kyun hun uss pe jaan-nichaavvar
Javaab mai h,i savaal aata hai
Khud ko uske daa, ire se nikaal na
Ye aisa kaam hai jo muhaal aata hai
Qadam qadam rakha galat zindagi mai
"Aadil" apni soch par ubaal aata hai
A
Ye aisa kaam hai jo muhaal aata hai 🥺